Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakul Dev

  • Ghazal


kaun kahta hai Thahar jaana hai


kaun kahtā hai Thahar jaanā hai
rañg chaḌhnā hai utar jaanā hai

zindagī se rahī sohbat barsoñ
jaate jaate hī asar jaanā hai

TūTne ko haiñ sadā.eñ merī
ḳhāmushī tujh ko bikhar jaanā hai

ḳhvāb naddī sā guzar jā.egā
dasht āñkhoñ meñ Thahar jaanā hai

koī din ham bhī na yaad ā.eñge
āḳhirash tū bhī bisar jaanā hai

koī dariyā na samundar na sarāb
tishnagī bol kidhar jaanā hai

laġhzisheñ jā.eñgī jaate jaate
nashsha maanā ki utar jaanā hai

naqsha chhoḌā hai havā ne koī
kaun sī samt safar jaanā hai

zindagī se haiñ pashemāñ ham bhī
kal ye da.avā thā ki mar jaanā hai

kaun kahta hai Thahar jaana hai
rang chaDhna hai utar jaana hai

zindagi se rahi sohbat barson
jate jate hi asar jaana hai

TuTne ko hain sadaen meri
KHamushi tujh ko bikhar jaana hai

KHwab naddi sa guzar jaega
dasht aankhon mein Thahar jaana hai

koi din hum bhi na yaad aaenge
aaKHirash tu bhi bisar jaana hai

koi dariya na samundar na sarab
tishnagi bol kidhar jaana hai

laghzishen jaengi jate jate
nashsha mana ki utar jaana hai

naqsha chhoDa hai hawa ne koi
kaun si samt safar jaana hai

zindagi se hain pasheman hum bhi
kal ye dawa tha ki mar jaana hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+