Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhsh Layalpuri

  • Ghazal


banti nahin baat to phir baat kya karen


bantī nahīñ baat to phir baat kyā kareñ
bigḌe hue haiñ shahr ke hālāt kyā kareñ

aatī nahīñ giraft meñ sāñsoñ kī Doriyāñ
haiñ gardish-e-mudām meñ din-rāt kyā kareñ

lafzoñ kī ek fauj hai apnī kamān meñ
muñh meñ nahīñ zabāñ to maqālāt kyā kareñ

TuuTā ta.alluqāt kā har ek silsila
ThanDe paḌe haiñ vasl ke jazbāt kyā kareñ

ai dost chāra-sāzī-e-chāra-garāñ na pūchh
bad-tar hue haiñ aur bhī hālāt kyā kareñ

aish-o-tarab kī mahfileñ un kā nasīb haiñ
ham ko mile haiñ dard ke naġhmāt kyā kareñ

banti nahin baat to phir baat kya karen
bigDe hue hain shahr ke haalat kya karen

aati nahin giraft mein sanson ki Doriyan
hain gardish-e-mudam mein din-raat kya karen

lafzon ki ek fauj hai apni kaman mein
munh mein nahin zaban to maqalat kya karen

TuTa talluqat ka har ek silsila
ThanDe paDe hain wasl ke jazbaat kya karen

ai dost chaara-sazi-e-chaara-garan na puchh
bad-tar hue hain aur bhi haalat kya karen

aish-o-tarab ki mahfilen un ka nasib hain
hum ko mile hain dard ke naghmat kya karen


Source: Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 9) Author : Dr. Preem Bhandari Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+