Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahirul Qadri

  • Ghazal


ehsas-e-KHushi miT jata hai afsurda tabiat hoti hai


ehsās-e-ḳhushī miT jaatā hai afsurda tabī.at hotī hai
dil par vo ghaḌī bhī aatī hai jab ġham kī zarūrat hotī hai

do harf bhī mere sun na sake tum itne kyuuñ bezār hue
maiñ ne tumheñ apnā samjhā thā apnoñ se shikāyat hotī hai

ye sūd-o-ziyāñ ke paimāne ye jhūTe sachche afsāne
in ahl-e-havas kī bātoñ se badnām mohabbat hotī hai

ik dūsrī botal aane tak ye durd-e-tah-e-sāġhar hī sahī
aur tishna-e-mai betāb na ho saaqī ko nadāmat hotī hai

'māhir' kī saada bātoñ se allāh bachātā hai rakkhe
ḳhud to ye baḌe hī hazrat haiñ auroñ ko nasīhat hotī hai

ehsas-e-KHushi miT jata hai afsurda tabiat hoti hai
dil par wo ghaDi bhi aati hai jab gham ki zarurat hoti hai

do harf bhi mere sun na sake tum itne kyun bezar hue
main ne tumhein apna samjha tha apnon se shikayat hoti hai

ye sud-o-ziyan ke paimane ye jhuTe sachche afsane
in ahl-e-hawas ki baaton se badnam mohabbat hoti hai

ek dusri botal aane tak ye durd-e-tah-e-saghar hi sahi
aur tishna-e-mai betab na ho saqi ko nadamat hoti hai

'mahir' ki sada baaton se allah bachata hai rakkhe
KHud to ye baDe hi hazrat hain auron ko nasihat hoti hai


Source: Book : Nuquush Lahore (Pg. 341) Author : Mohd Tufail Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 ) Edition : Feb.1956

Leave a comment

+