Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandra Shekhar Varma

  • Ghazal


irade nek hain niyyat khari hai


irāde nek haiñ niyyat kharī hai
tumhārī jeb phir kaise bharī hai

tumheñ paḌ jā.egī is kī bhī aadat
abhī ik baar hī ġhairat bharī hai

adā lailā kī Tonā ToTkā hai
mohabbat qais kī jādūgarī hai

vo kahte haiñ ki kūza-gar baḌā hai
maiñ kahtā huuñ baḌī kūza-garī hai

shikan chehre kī kar detī hai ġhā.eb
tirī muskān jaise istirī hai

nazar ke hārte hī dil bhī haarā
mirī ik din meñ ġhalatī dūsrī hai

hamāre ishq kā aayā december
tumhārā ruup ab bhī january hai

mohabbat kāhilī meñ kī thī ham ne
abhī to das se chhe kī naukrī hai

irade nek hain niyyat khari hai
tumhaari jeb phir kaise bhari hai

tumhein paD jaegi is ki bhi aadat
abhi ek bar hi ghairat bhari hai

ada laila ki Tona ToTka hai
mohabbat qais ki jadugari hai

wo kahte hain ki kuza-gar baDa hai
main kahta hun baDi kuza-gari hai

shikan chehre ki kar deti hai ghaeb
teri muskan jaise istiri hai

nazar ke haarte hi dil bhi haara
meri ek din mein ghalati dusri hai

hamare ishq ka aaya december
tumhaara rup ab bhi january hai

mohabbat kahili mein ki thi hum ne
abhi to das se chhe ki naukri hai


Leave a comment

+