Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karan Singh Karan

  • Ghazal


baDe ajib hain duniya ke ye nasheb-o-faraaz


baḌe ajiib haiñ duniyā ke ye nasheb-o-farāz
koī paḌhe kahāñ jā kar mohabbatoñ kī namāz

jahāñ meñ kuchh nahīñ miltā sivā adāvat ke
magar nazar meñ nahīñ hai koī bhī us kā javāz

tamām zindagī is justujū meñ guzrī hai
na khul sakā kisī sūrat bhī zindagī kā raaz

bas ik nigāh meñ vo dil ko chhīn lete haiñ
kahāñ se laa.e koī un kā ye hasīñ andāz

kisī bhī haal meñ guzre ye zindagī apnī
magar na dast-e-talab ho sakegā ham se darāz

kisī kā bhī nahīñ ab e.atibār duniyā meñ
kaheñ to kis ko kaheñ ham jahān meñ hamrāz

baDe ajib hain duniya ke ye nasheb-o-faraaz
koi paDhe kahan ja kar mohabbaton ki namaz

jahan mein kuchh nahin milta siwa adawat ke
magar nazar mein nahin hai koi bhi us ka jawaz

tamam zindagi is justuju mein guzri hai
na khul saka kisi surat bhi zindagi ka raaz

bas ek nigah mein wo dil ko chhin lete hain
kahan se lae koi un ka ye hasin andaz

kisi bhi haal mein guzre ye zindagi apni
magar na dast-e-talab ho sakega hum se daraaz

kisi ka bhi nahin ab eatibar duniya mein
kahen to kis ko kahen hum jahan mein hamraaz


Source: Deewan-e-habeeb

Leave a comment

+