Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha


pas-e-ġhubār bhī uḌtā ġhubār apnā thā
tire bahāne hameñ intizār apnā thā

khaḌe the apnī jaḌoñ par kisī shajar kī tarah
hamārī ḳhātir-e-nāzuk pe baar apnā thā

isī liye hameñ sūraj ne saath rakkhā thā
ki ik sitāre pe dār-o-madār apnā thā

pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha
tere bahane hamein intizar apna tha

khaDe the apni jaDon par kisi shajar ki tarah
hamari KHatir-e-nazuk pe bar apna tha

isi liye hamein suraj ne sath rakkha tha
ki ek sitare pe dar-o-madar apna tha


Leave a comment

+