Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah iqbal

  • Ghazal


jaise KHushiyon mein gham nahin hote


jaise ḳhushiyoñ meñ ġham nahīñ hote
aag paanī baham nahīñ hote

muddatoñ ham qarīb rahte haiñ
fāsle phir bhī kam nahīñ hote

zindagī bhar ke saath meñ aksar
ham-safar ham-qadam nahīñ hote

sānehe dil pe jo guzarte haiñ
sab ke sab to raqam nahīñ hote

puujā hotī hai zindagī bhar kī
chaar din ke sanam nahīñ hote

jo kabhī mujh pe dostoñ ke the
ab vo lutf-o-karam nahīñ hote

jaise KHushiyon mein gham nahin hote
aag pani baham nahin hote

muddaton hum qarib rahte hain
fasle phir bhi kam nahin hote

zindagi bhar ke sath mein aksar
ham-safar ham-qadam nahin hote

sanehe dil pe jo guzarte hain
sab ke sab to raqam nahin hote

puja hoti hai zindagi bhar ki
chaar din ke sanam nahin hote

jo kabhi mujh pe doston ke the
ab wo lutf-o-karam nahin hote


Leave a comment

+