Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem ahmad

  • Ghazal


ek to kawish-e-jigar bhi karun


ek to kāvish-e-jigar bhī karūñ
aur phir minnat-e-samar bhī karūñ

ishq meñ ḳhair thā junūñ lāzim
ab koī dūsrā hunar bhī karūñ

sochtā huuñ tire ta.āqub meñ
ḳhud ko rusvā-e-bāl-o-par bhī karūñ

pahle bin-māñge zindagī de dī
aur phir shart hai basar bhī karūñ

sher likkhūñ bhī aur logoñ meñ
shā.erī apnī mushtahar bhī karūñ

lafz o ma.anī kā jabr jhelūñ bhī
aur phir ḳhud ko mo'tabar bhī karūñ

kaam kuchh be-sabab bhī kar Dālūñ
aur kuchh kaam soch kar bhī karūñ

ek to kawish-e-jigar bhi karun
aur phir minnat-e-samar bhi karun

ishq mein KHair tha junun lazim
ab koi dusra hunar bhi karun

sochta hun tere taaqub mein
KHud ko ruswa-e-baal-o-par bhi karun

pahle bin-mange zindagi de di
aur phir shart hai basar bhi karun

sher likkhun bhi aur logon mein
shaeri apni mushtahar bhi karun

lafz o mani ka jabr jhelun bhi
aur phir KHud ko mo'tabar bhi karun

kaam kuchh be-sabab bhi kar Dalun
aur kuchh kaam soch kar bhi karun


Leave a comment

+