ulfat ne tirī ham ko to rakkhā na kahīñ kā
dariyā kā na jañgal kā samā kā na zamīñ kā
iqlīm-e-ma.ānī meñ amal ho gayā merā
duniyā meñ bharosa thā kise tāj-o-nagīñ kā
taqdīr ne kyā qutub-e-falak mujh ko banāyā
mohtāj mirā paañv rahā ḳhāna-e-zīñ kā
ik boriye ke taḳht pe auqāt basar kī
zāhid bhī muqallid rahā sajjāda-nashīñ kā
'aḳhtar' qalam-e-fikr ke bhī ashk haiñ jaarī
kyā haal likhūñ apne dil-e-zār-o-hazīñ kā
ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka
dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka
iqlim-e-maani mein amal ho gaya mera
duniya mein bharosa tha kise taj-o-nagin ka
taqdir ne kya qutub-e-falak mujh ko banaya
mohtaj mera panw raha KHana-e-zin ka
ek boriye ke taKHt pe auqat basar ki
zahid bhi muqallid raha sajjada-nashin ka
'aKHtar' qalam-e-fikr ke bhi ashk hain jari
kya haal likhun apne dil-e-zar-o-hazin ka
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka
Nomaan Shauque
Leave a comment