suno ye ġham kī siyah raat jaane vaalī hai
abhī azaan kī āvāz aane vaalī hai
tujhe yaqīn to shāyad na aa.egā lekin
ye sub.h koī karishma dikhāne vaalī hai
kise ḳhabar hai ki āñdhī chalā.e peḌ girā.e
yahī havā jo patañgeñ uḌāne vaalī hai
sameT bikhre hue kāġhzāt ko apne
koī sadā tujhe vāpas bulāne vaalī hai
tujhe bhī zulm se fursat na mil sakegī kabhī
mirī anā bhī kahāñ sar jhukāne vaalī hai
mirī ġhazal pe na.e log kyuuñ taḌapte haiñ
mirī ġhazal to purāne zamāne vaalī hai
suno ye gham ki siyah raat jaane wali hai
abhi azan ki aawaz aane wali hai
tujhe yaqin to shayad na aaega lekin
ye subh koi karishma dikhane wali hai
kise KHabar hai ki aandhi chalae peD girae
yahi hawa jo patangen uDane wali hai
sameT bikhre hue kaghzat ko apne
koi sada tujhe wapas bulane wali hai
tujhe bhi zulm se fursat na mil sakegi kabhi
meri ana bhi kahan sar jhukane wali hai
meri ghazal pe nae log kyun taDapte hain
meri ghazal to purane zamane wali hai
Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib
Leave a comment