Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibn-e-Mufti

  • Ghazal


barq ne jab bhi aankh kholi hai


barq ne jab bhī aañkh kholī hai
āshiyānoñ ne ḳhaak rolī hai

yaad kā kyā hai aa ga.ī phir se
aañkh kā kyā hai phir se ro lī hai

tum bichhā lo musallā-e-chāhat
maiñ ne dahlīz dil kī dho lī hai

dil kī bātoñ ko dil samajhtā hai
dil kī bolī ajiib bolī hai

parda uThte hī merī nazroñ se
kā.enāt-e-yaqīn Dolī hai

muskurā.e na chāñd kyuuñ 'muftī'
aa.ī jo chāñdnī kī Dolī hai

barq ne jab bhi aankh kholi hai
aashiyanon ne KHak roli hai

yaad ka kya hai aa gai phir se
aankh ka kya hai phir se ro li hai

tum bichha lo musalla-e-chahat
main ne dahliz dil ki dho li hai

dil ki baaton ko dil samajhta hai
dil ki boli ajib boli hai

parda uThte hi meri nazron se
kaenat-e-yaqin Doli hai

muskurae na chand kyun 'mufti'
aai jo chandni ki Doli hai


Leave a comment

+