Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahirul Qadri

  • Ghazal


chashm-e-nam par muskura kar chal diye


chashm-e-nam par muskurā kar chal diye
aag paanī meñ lagā kar chal diye

saarī mahfil laḌkhaḌātī rah ga.ī
mast āñkhoñ se pilā kar chal diye

gard-e-manzil aaj tak hai be-qarār
ik qayāmat hī uThā kar chal diye

merī ummīdoñ kī duniyā hil ga.ī
naaz se dāman bachā kar chal diye

muḳhtalif andāz se dekhā kiye
sab kī nazreñ aazmā kar chal diye

gulsitāñ meñ aap aa.e bhī to kyā
chand kaliyoñ ko hañsā kar chal diye

vajd meñ aa kar havā.eñ rah ga.iiñ
zer-e-lab kuchh gungunā kar chal diye

vo fazā vo chaudhvīñ kī chāñdnī
husn kī shabnam girā kar chal diye

vo tabassum vo adā.eñ vo nigāh
sab ko dīvāna banā kar chal diye

kuchh ḳhabar un kī bhī hai 'māhir' tumheñ
aap to ġhazleñ sunā kar chal diye

chashm-e-nam par muskura kar chal diye
aag pani mein laga kar chal diye

sari mahfil laDkhaDati rah gai
mast aankhon se pila kar chal diye

gard-e-manzil aaj tak hai be-qarar
ek qayamat hi uTha kar chal diye

meri ummidon ki duniya hil gai
naz se daman bacha kar chal diye

muKHtalif andaz se dekha kiye
sab ki nazren aazma kar chal diye

gulsitan mein aap aae bhi to kya
chand kaliyon ko hansa kar chal diye

wajd mein aa kar hawaen rah gain
zer-e-lab kuchh gunguna kar chal diye

wo faza wo chaudhwin ki chandni
husn ki shabnam gira kar chal diye

wo tabassum wo adaen wo nigah
sab ko diwana bana kar chal diye

kuchh KHabar un ki bhi hai 'mahir' tumhein
aap to ghazlen suna kar chal diye


Source: Book : urdu ki chuninda gazle.n (Pg. 48) Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (sahityaa parkaashak maalbaara delhi ) Edition : 1963 Book : urdu ki chuninda gazle.n (Pg. 48) Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (sahityaa parkaashak maalbaara delhi )

Leave a comment

+