Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Hameed

  • Ghazal


humne kisi ko ahd-e-wafa se riha kiya


ham ne kisī ko ahd-e-vafā se rihā kiyā
apnī ragoñ se jaise lahū ko judā kiyā

us ke shikasta vaar kā bhī rakh liyā bharam
ye qarz ham ne zaḳhm kī sūrat adā kiyā

is meñ hamārī apnī ḳhudī kā savāl thā
ehsāñ nahīñ kiyā hai jo vaada vafā kiyā

jis samt kī havā hai usī samt chal paḌeñ
jab kuchh na ho sakā to yahī faisla kiyā

ahd-e-musāfarat se vo mansūḳh ho chukī
jis rahguzar se tum ne mujhe āshnā kiyā

apnī shikastagī pe vo nādim nahīñ huā
merī barahna-pā.ī kā jis ne gila kiyā

hum ne kisi ko ahd-e-wafa se riha kiya
apni ragon se jaise lahu ko juda kiya

us ke shikasta war ka bhi rakh liya bharam
ye qarz hum ne zaKHm ki surat ada kiya

is mein hamari apni KHudi ka sawal tha
ehsan nahin kiya hai jo wada wafa kiya

jis samt ki hawa hai usi samt chal paDen
jab kuchh na ho saka to yahi faisla kiya

ahd-e-musafarat se wo mansuKH ho chuki
jis rahguzar se tum ne mujhe aashna kiya

apni shikastagi pe wo nadim nahin hua
meri barahna-pai ka jis ne gila kiya


Leave a comment

+