marg-e-ehsās bil-yaqīn āḳhir
aadmī ban gayā machine āḳhir
ek ik kar ke ho ga.e ruḳhsat
ḳhāna-e-dil ke sab makīn āḳhir
ghar bhī madfan bane haiñ galiyāñ bhī
tañg hone lagī zamīn āḳhir
terī chaukhaT se rah sake na alag
sang-dar ho ga.ī jabīn āḳhir
pā sake ḳhūñ-bahā diyat na qisās
zindagī ke lavāhiqīn āḳhir
ishq tasḳhīr-e-kā.enāt ke ba.ad
ho rahā dil meñ hī makīn āḳhir
khel to ḳhatm ho chukā hai 'rabāb'
kyuuñ ruke haiñ tamāshbīn āḳhir
marg-e-ehsas bil-yaqin aaKHir
aadmi ban gaya machine aaKHir
ek ek kar ke ho gae ruKHsat
KHana-e-dil ke sab makin aaKHir
ghar bhi madfan bane hain galiyan bhi
tang hone lagi zamin aaKHir
teri chaukhaT se rah sake na alag
sang-dar ho gai jabin aaKHir
pa sake KHun-baha diyat na qisas
zindagi ke lawahiqin aaKHir
ishq tasKHir-e-kaenat ke baad
ho raha dil mein hi makin aaKHir
khel to KHatm ho chuka hai 'rabab'
kyun ruke hain tamashbin aaKHir
Leave a comment