koī nazar kisī aalam meñ kāmyāb nahīñ
tilism-e-sūrat-o-ma.anī tirā javāb nahīñ
nafas nafas meñ agar zauq-e-inqalāb nahīñ
fareb-e-mastī-e-pindār hai shabāb nahīñ
ba-qadr-e-zarf talabgār hai urūj-o-zavāl
zamīñ pe hai vahī zarra jo āftāb nahīñ
hazār saal bhī ġhaflat ke de nahīñ sakte
us ek lamha kī qīmat jo sirf ḳhvāb nahīñ
hujūm-e-shauq meñ koī nazar samajh na sakī
shu.ūr-e-dīd kī ta.alīm thī hijāb nahīñ
barā-e-afv gunahgār kī taraf jo uThe
us ik nigāh-e-karam kā koī javāb nahīñ
diloñ ko sīnoñ meñ dhaḌkā ke rah gayā hai 'kaif'
vo inqalāb kā dhokā thā inqalāb nahīñ
koi nazar kisi aalam mein kaamyab nahin
tilism-e-surat-o-mani tera jawab nahin
nafas nafas mein agar zauq-e-inqalab nahin
fareb-e-masti-e-pindar hai shabab nahin
ba-qadr-e-zarf talabgar hai uruj-o-zawal
zamin pe hai wahi zarra jo aaftab nahin
hazar sal bhi ghaflat ke de nahin sakte
us ek lamha ki qimat jo sirf KHwab nahin
hujum-e-shauq mein koi nazar samajh na saki
shuur-e-did ki talim thi hijab nahin
bara-e-afw gunahgar ki taraf jo uThe
us ek nigah-e-karam ka koi jawab nahin
dilon ko sinon mein dhaDka ke rah gaya hai 'kaif'
wo inqalab ka dhoka tha inqalab nahin
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 499) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment