Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


aaj qabu mein ye mizaj nahin


aaj qaabū meñ ye mizāj nahīñ
be-ḳhudī kā koī ilaaj nahīñ

vaqt-e-āḳhir hai merā jaao tabīb
ab davā kī to ehtiyāj nahīñ

ahd meñ mere shāh-e-ḳhūbāñ ke
sitam-o-zulm kā rivāj nahīñ

mujh ko dikhlā do rū-e-ġhaus-e-ḳhudā
aur koī mirā ilaaj nahīñ

kam nahīñ faqr bādshāhī se
kuchh tamannā-e-taḳht-o-tāj nahīñ

shāh-e-ḳhūbāñ ke vāste hargiz
ġhair-az-dil koī ḳhirāj nahīñ

haf-iqlīm nazr-e-shah karte
ai 'jamīla' hamārā raaj nahīñ

aaj qabu mein ye mizaj nahin
be-KHudi ka koi ilaj nahin

waqt-e-aKHir hai mera jao tabib
ab dawa ki to ehtiyaj nahin

ahd mein mere shah-e-KHuban ke
sitam-o-zulm ka riwaj nahin

mujh ko dikhla do ru-e-ghaus-e-KHuda
aur koi mera ilaj nahin

kam nahin faqr baadshahi se
kuchh tamanna-e-taKHt-o-taj nahin

shah-e-KHuban ke waste hargiz
ghair-az-dil koi KHiraj nahin

haf-iqlim nazr-e-shah karte
ai 'jamila' hamara raj nahin

RECITATIONS Azra Naqvi00:00/00:00 Aaj qabu mein ye mizaj nahin Azra Naqvi

Leave a comment

+