Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


mahfilen KHwab huin rah gae tanha chehre


mahfileñ ḳhvāb huiiñ rah ga.e tanhā chehre
vaqt ne chhīn liye kitne shanāsā chehre

saarī duniyā ke liye ek tamāshā chehre
dil to parde meñ rahe ho ga.e rusvā chehre

tum vo bedard ki muḌ kar bhī na dekhā un ko
varna karte rahe kyā kyā na taqāzā chehre

kitne hāthoñ ne tarāshe ye hasīñ tāj-mahal
jhāñkte haiñ dar-o-dīvār se kyā kyā chehre

so.e pattoñ kī tarah jāgtī kaliyoñ kī tarah
ḳhaak meñ gum to kabhī ḳhaak se paidā chehre

ḳhud hī vīrānī-e-dil ḳhud hī charāġh-e-mahfil
kabhī mahrūm-e-tamannā kabhī shaidā chehre

ḳhaak uḌtī bhī rahī abr barastā bhī rahā
ham ne dekhe kabhī sahrā kabhī dariyā-chehre

yahī imroz bhī hañgāma-e-fardā bhī yahī
pesh karte rahe har daur kā naqsha chehre

diip jalte hī rahe taaq pe armānoñ ke
kitnī sadiyoñ se hai har ghar kā ujālā chehre

ḳhatm ho jaa.eñ jinheñ dekh ke bīmāri-e-dil
DhūñDh kar laa.eñ kahāñ se vo masīhā chehre

dāstāñ ḳhatm na hogī kabhī chehroñ kī 'jamīl'
husn-e-yūsuf to kabhī ishq-e-zuleḳhā chehre

mahfilen KHwab huin rah gae tanha chehre
waqt ne chhin liye kitne shanasa chehre

sari duniya ke liye ek tamasha chehre
dil to parde mein rahe ho gae ruswa chehre

tum wo bedard ki muD kar bhi na dekha un ko
warna karte rahe kya kya na taqaza chehre

kitne hathon ne tarashe ye hasin taj-mahal
jhankte hain dar-o-diwar se kya kya chehre

soe patton ki tarah jagti kaliyon ki tarah
KHak mein gum to kabhi KHak se paida chehre

KHud hi virani-e-dil KHud hi charagh-e-mahfil
kabhi mahrum-e-tamanna kabhi shaida chehre

KHak uDti bhi rahi abr barasta bhi raha
hum ne dekhe kabhi sahra kabhi dariya-chehre

yahi imroz bhi hangama-e-farda bhi yahi
pesh karte rahe har daur ka naqsha chehre

dip jalte hi rahe taq pe armanon ke
kitni sadiyon se hai har ghar ka ujala chehre

KHatm ho jaen jinhen dekh ke bimari-e-dil
DhunDh kar laen kahan se wo masiha chehre

dastan KHatm na hogi kabhi chehron ki 'jamil'
husn-e-yusuf to kabhi ishq-e-zuleKHa chehre


Leave a comment

+