Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Azmi

  • Ghazal


wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad


vo bhī sarāhne lage arbāb-e-fan ke ba.ad
dād-e-suḳhan milī mujhe tark-e-suḳhan ke ba.ad

dīvāna-vār chāñd se aage nikal ga.e
Thahrā na dil kahīñ bhī tirī anjuman ke ba.ad

hoñToñ ko sī ke dekhiye pachhtā.iyegā aap
hañgāme jaag uThte haiñ aksar ghuTan ke ba.ad

ġhurbat kī ThanDī chhāñv meñ yaad aa.ī us kī dhuup
qadr-e-vatan huī hameñ tark-e-vatan ke ba.ad

elān-e-haq meñ ḳhatra-e-dār-o-rasan to hai
lekin savāl ye hai ki dār-o-rasan ke ba.ad

insāñ kī ḳhvāhishoñ kī koī intihā nahīñ
do gaz zamīñ bhī chāhiye do gaz kafan ke ba.ad

wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad
dad-e-suKHan mili mujhe tark-e-suKHan ke baad

diwana-war chand se aage nikal gae
Thahra na dil kahin bhi teri anjuman ke baad

honTon ko si ke dekhiye pachhtaiyega aap
hangame jag uThte hain aksar ghuTan ke baad

ghurbat ki ThanDi chhanw mein yaad aai us ki dhup
qadr-e-watan hui hamein tark-e-watan ke baad

elan-e-haq mein KHatra-e-dar-o-rasan to hai
lekin sawal ye hai ki dar-o-rasan ke baad

insan ki KHwahishon ki koi intiha nahin
do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Kaifi Azmi Kaifi Azmi RECITATIONS Nomaan Shauque Kaifi Azmi



00:00/00:00 wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad Nomaan Shauque

Leave a comment

+