Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah wali

  • Ghazal


ishrat-e-duniya-e-fani ki kahani aur hai


ishrat-e-duniyā-e-fānī kī kahānī aur hai
yaad meñ terī jo guzre zindagānī aur hai

is jahāñ meñ kis ko hāsil hai baqā tere sivā
haañ jo terā ho gayā us kī kahānī aur hai

rūThtā hai gar zamāna ruuTh jaa.e ġham nahīñ
is sarāpā mehrbāñ kī mehrbānī aur hai

dekhtā hai kyuuñ koī mazlūm sū-e-asmāñ
bekasoñ kī ye duā-e-be-zabānī aur hai

ishq kahte haiñ kise ye pochhiye mansūr se
jāñ-sapārī aur hai aur rāz-dānī aur hai

ḳhush-gumānī meñ hai duniyā us ko bad-zan dekh kar
mujh se lekin us kī vaj.h-e-bad-gumānī aur hai

lafz kī bāzīgarī se sher kā kyā vāsta
shā.irī meñ ai 'valī' jādū-bayānī aur hai

ishrat-e-duniya-e-fani ki kahani aur hai
yaad mein teri jo guzre zindagani aur hai

is jahan mein kis ko hasil hai baqa tere siwa
han jo tera ho gaya us ki kahani aur hai

ruThta hai gar zamana ruTh jae gham nahin
is sarapa mehrban ki mehrbani aur hai

dekhta hai kyun koi mazlum su-e-asman
bekason ki ye dua-e-be-zabani aur hai

ishq kahte hain kise ye pochhiye mansur se
jaan-sapari aur hai aur raaz-dani aur hai

KHush-gumani mein hai duniya us ko bad-zan dekh kar
mujh se lekin us ki wajh-e-bad-gumani aur hai

lafz ki bazigari se sher ka kya wasta
shairi mein ai 'wali' jadu-bayani aur hai

RECITATIONS Unknown



00:00/00:00 Ishrat e duniya e faani ki kahani aur hai Unknown

Source: Book : Urdu-1983 (Pg. 131) Author : Nand Kishore Vikram Publication : Publisher & Advertisers J-6, Krishan Nagar, Delhi-110051 (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+