Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pramod Pundhir Pyaasa

  • Ghazal


nekiyon se kal meri tanhaiyan kahne lagin


nekiyoñ se kal merī tanhā.iyāñ kahne lagīñ
duur tak jo ban ga.ī haiñ khā.iyāñ kahne lagīñ

faisla bhī ho nahīñ paayā muqaddar se yahāñ
dhuup meñ jaltī huī parchhā.iyāñ kahne lagīñ

chaak dil apnā rafū karte rahe jo TuuT kar
hastī-e-gul bazm kī ra.anā.iyāñ kahne lagīñ

paañv chalte hī rahe aur manzileñ baḌhtī ga.iiñ
mashriq-o-maġhrib se muñh kī jhā.iyāñ kahne lagīñ

yaañ hijābāna farebī hī basīrat ho ga.e
zāhidoñ se mas.ala sachchā.iyāñ kahne lagīñ

paḌh liyā karte hameñ jo dekh kar ke aa.ina
vo nazar hī ḳhud mirī rusvā.iyāñ kahne lagīñ

muflisī ḳhuddār honā sach kahāñ tak hai bhalā
bhuuk meñ biktī huī añgḌā.iyāñ kahne lagīñ

maañg ke sindūr ujḌe pālkī jaltī rahī
kyoñ hue hañgāme ye shahnā.iyāñ kahne lagīñ

nekiyon se kal meri tanhaiyan kahne lagin
dur tak jo ban gai hain khaiyan kahne lagin

faisla bhi ho nahin paya muqaddar se yahan
dhup mein jalti hui parchhaiyan kahne lagin

chaak dil apna rafu karte rahe jo TuT kar
hasti-e-gul bazm ki ranaiyan kahne lagin

panw chalte hi rahe aur manzilen baDhti gain
mashriq-o-maghrib se munh ki jhaiyan kahne lagin

yan hijabana farebi hi basirat ho gae
zahidon se masala sachchaiyan kahne lagin

paDh liya karte hamein jo dekh kar ke aaina
wo nazar hi KHud meri ruswaiyan kahne lagin

muflisi KHuddar hona sach kahan tak hai bhala
bhuk mein bikti hui angDaiyan kahne lagin

mang ke sindur ujDe palki jalti rahi
kyon hue hangame ye shahnaiyan kahne lagin


Leave a comment

+