Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


main to tanha tha magar tujhko bhi tanha dekha


maiñ to tanhā thā magar tujh ko bhī tanhā dekhā
apnī tasvīr ke pīchhe tirā chehrā dekhā

jis kī ḳhushbū se mahak jaa.e shabistān-e-visāl
dosto tum ne kabhī vo gul-e-sahrā dekhā

ajnabī ban ke mile dil meñ utartā jaa.e
shahr meñ koī bhī tujh sā na shanāsā dekhā

ab to bas ek hī ḳhvāhish hai ki tujh ko dekheñ
saarī duniyā meñ phire aur na kyā kyā dekhā

koī sūrat bhī shanāsā nazar aa.ī na hameñ
ghar se nikle to ajab shahr kā naqsha dekhā

is qadar dhuup thī sañvlā ga.e raḳhshāñ chehre
jalte sūraj kā magar rañg bhī piilā dekhā

peḌ kā dukh to koī pūchhne vaalā hī na thā
apnī hī aag meñ jaltā huā saaya dekhā

the añdheroñ ke ta.āqub meñ ujāle kyā kyā
ḳhud tamāsha the 'jamīl' aur tamāsha dekhā

main to tanha tha magar tujh ko bhi tanha dekha
apni taswir ke pichhe tera chehra dekha

jis ki KHushbu se mahak jae shabistan-e-visal
dosto tum ne kabhi wo gul-e-sahra dekha

ajnabi ban ke mile dil mein utarta jae
shahr mein koi bhi tujh sa na shanasa dekha

ab to bas ek hi KHwahish hai ki tujh ko dekhen
sari duniya mein phire aur na kya kya dekha

koi surat bhi shanasa nazar aai na hamein
ghar se nikle to ajab shahr ka naqsha dekha

is qadar dhup thi sanwla gae raKHshan chehre
jalte suraj ka magar rang bhi pila dekha

peD ka dukh to koi puchhne wala hi na tha
apni hi aag mein jalta hua saya dekha

the andheron ke taaqub mein ujale kya kya
KHud tamasha the 'jamil' aur tamasha dekha


Leave a comment

+