Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh naaidu

  • Ghazal


jo bhi nikle teri aawaz lagata nikle


jo bhī nikle tirī āvāz lagātā nikle
aise hālāt meñ ab ghar se koī kyā nikle

us ke lahje meñ sarāboñ kī ajab raunaq hai
ain mumkin hai vo taptā huā sahrā nikle

har taraf ḳhvāb vahī ḳhvāb vahī ik chehra
ab kisī taur mere ghar se ye malba nikle

dasht vāloñ ko batāo kī yahāñ maiñ bhī huuñ
kyā pata mujh se hī un kā koī rasta nikle

bas isī aas meñ baiThā huuñ sar-e-sahrā maiñ
koī bādal mujhe āvāz lagātā nikle

kaash aisā ho tere shahr meñ pyāsā aa.uuñ
aur tire qadmoñ se ho kar koī dariyā nikle

raqs karte the tire hāthoñ pe kitne aalam
ab to āñkhoñ se mirī rañg hinā kā nikle

tere hone pe bhī ik Dar sā lagā rahtā hai
kaise is jī se tire hijr kā dhaḌkā nikle

jo bhi nikle teri aawaz lagata nikle
aise haalat mein ab ghar se koi kya nikle

us ke lahje mein sarabon ki ajab raunaq hai
ain mumkin hai wo tapta hua sahra nikle

har taraf KHwab wahi KHwab wahi ek chehra
ab kisi taur mere ghar se ye malba nikle

dasht walon ko batao ki yahan main bhi hun
kya pata mujh se hi un ka koi rasta nikle

bas isi aas mein baiTha hun sar-e-sahra main
koi baadal mujhe aawaz lagata nikle

kash aisa ho tere shahr mein pyasa aaun
aur tere qadmon se ho kar koi dariya nikle

raqs karte the tere hathon pe kitne aalam
ab to aankhon se meri rang hina ka nikle

tere hone pe bhi ek Dar sa laga rahta hai
kaise is ji se tere hijr ka dhaDka nikle


Leave a comment

+