Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanha Timmapuri

  • Ghazal


jism ke andar sisakta kaun hai


jism ke andar sisaktā kaun hai
aise vīrāne meñ bastā kaun hai

ye ThiThurtī raat barfīlā samāñ
giilī āñkhoñ meñ utartā kaun hai

ḳhauf miTne kā nahīñ hai dosto
ye batā denā ki miTtā kaun hai

raam sā ban-bās kuchh mushkil nahīñ
sirf ik mushkil hai siitā kaun hai

shahr saarā jal gayā ab sochiye
shahr ke naqshe badaltā kaun hai

mujh ko apnoñ se hī akasr Dar lagā
jaane in apnoñ meñ Dastā kaun hai

jism ke andar sisakta kaun hai
aise virane mein basta kaun hai

ye ThiThurti raat barfila saman
gili aankhon mein utarta kaun hai

KHauf miTne ka nahin hai dosto
ye bata dena ki miTta kaun hai

ram sa ban-bas kuchh mushkil nahin
sirf ek mushkil hai sita kaun hai

shahr sara jal gaya ab sochiye
shahr ke naqshe badalta kaun hai

mujh ko apnon se hi akasr Dar laga
jaane in apnon mein Dasta kaun hai


Leave a comment

+