junūñ ḳhud-numā ḳhud-nagar bhī nahīñ
ḳhirad kī tarah kam-nazar bhī nahīñ
kisī rāhzan kā ḳhatar bhī nahīñ
ki dāman meñ gard-e-safar bhī nahīñ
ġham-e-zindagī ik musalsal azaab
ġham-e-zindagī se mafar bhī nahīñ
nazar mo'tabar hai ḳhabar mo'tabar
magar is qadar mo'tabar bhī nahīñ
junun KHud-numa KHud-nagar bhi nahin
KHirad ki tarah kam-nazar bhi nahin
kisi rahzan ka KHatar bhi nahin
ki daman mein gard-e-safar bhi nahin
gham-e-zindagi ek musalsal azab
gham-e-zindagi se mafar bhi nahin
nazar mo'tabar hai KHabar mo'tabar
magar is qadar mo'tabar bhi nahin
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
junun KHud-numa KHud-nagar bhi nahin
Nomaan Shauque
Source: Book : Gunaah-e-sukhan (Pg. 27) Author : Kanti Mohan 'Soz' Publication : Kanti Mohan 'Soz' (1990) Edition : 1990
Leave a comment