Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahir Bilgrami

  • Ghazal


ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin


ulfat kā jis ko rog lagā vo bachā nahīñ
ye dard hai vo dard ki jis kī davā nahīñ

insāñ vo kyā ki jis se ho sarzad ḳhatā nahīñ
iz.hār-e-dard-e-dil pe ye ġhussa ravā nahīñ

mehr-o-vafā nahīñ haiñ ki sabr-o-razā nahīñ
ham afqaroñ ke kīsa-e-ḳhākī meñ kyā nahīñ

bīmār ke na zaḳhm pe zālim namak chhiḌak
nargis se chheḌ achchhī ye bād-e-sabā nahīñ

phir kah ke kyā pukārūñ tujhe jān-e-man agar
dilbar nahīñ nigār nahīñ dilrubā nahīñ

nādān dil ko us se vafā kī umiid hai
jo bevafā kisī kā abhī tak huā nahīñ

be-laus ishq-o-husn-parastī ke mā-sivā
vallāh merā aur koī mudda.ā nahīñ

dekhā dil-e-ġharīb ko nāgin sī Das ga.ī
lahrā rahī hai zulf ye kaalī ghaTā nahīñ

bhūle se haañ bhī muñh se nikaltā kabhī kabhī
mere har ik savāl pe ye tā-kujā nahīñ

dukh dard meñ hamesha jo sab kā sharīk hai
us ke sivā kisī kā mujhe aasrā nahīñ

bedār sone meñ bhī hai kartī zamīr ko
dil kī sadā hai ye koī bāñg-e-darā nahīñ

āsāñ nahīñ mushāhida-e-shāhid-jamāl
nazroñ se khulne vaalā ye band-e-qabā nahīñ

pahle-pahal jo dil ko lagī thī nazar kī choT
bhūlā ġharīb aaj bhī vo hadisā nahīñ

bekār us ke sāmne izhār-e-zauq-o-shauq
nādāñ shai-e-latīf se jo āshnā nahīñ

'māhir' na dil kaho use ik laḳht-e-sañg hai
har-dam ġham-e-habīb meñ jo mubtalā nahīñ

ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin
ye dard hai wo dard ki jis ki dawa nahin

insan wo kya ki jis se ho sarzad KHata nahin
izhaar-e-dard-e-dil pe ye ghussa rawa nahin

mehr-o-wafa nahin hain ki sabr-o-raza nahin
hum afqaron ke kisa-e-KHaki mein kya nahin

bimar ke na zaKHm pe zalim namak chhiDak
nargis se chheD achchhi ye baad-e-saba nahin

phir kah ke kya pukarun tujhe jaan-e-man agar
dilbar nahin nigar nahin dilruba nahin

nadan dil ko us se wafa ki umid hai
jo bewafa kisi ka abhi tak hua nahin

be-laus ishq-o-husn-parasti ke ma-siwa
wallah mera aur koi muddaa nahin

dekha dil-e-gharib ko nagin si Das gai
lahra rahi hai zulf ye kali ghaTa nahin

bhule se han bhi munh se nikalta kabhi kabhi
mere har ek sawal pe ye ta-kuja nahin

dukh dard mein hamesha jo sab ka sharik hai
us ke siwa kisi ka mujhe aasra nahin

bedar sone mein bhi hai karti zamir ko
dil ki sada hai ye koi bang-e-dara nahin

aasan nahin mushahida-e-shahid-jamal
nazron se khulne wala ye band-e-qaba nahin

pahle-pahal jo dil ko lagi thi nazar ki choT
bhula gharib aaj bhi wo hadisa nahin

bekar us ke samne izhaar-e-zauq-o-shauq
nadan shai-e-latif se jo aashna nahin

'mahir' na dil kaho use ek laKHt-e-sang hai
har-dam gham-e-habib mein jo mubtala nahin


Source: Saamaan-e-Sar-Khushi

Leave a comment

+