Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


ishq ne aql ko diwana bana rakkha hai


ishq ne aql ko dīvāna banā rakkhā hai
zulf-e-anjām kī uljhan meñ phañsā rakkhā hai

uTh ke bālīñ se mire dafn kī tadbīr karo
nabz kyā dekhte ho nabz meñ kyā rakkhā hai

merī qismat ke navishte ko miTā de koī
mujh ko qismat ke navishte ne miTā rakkhā hai

aap betāb-e-numā.ish na kareñ jalvoñ ko
ham ne dīdār qayāmat pe uThā rakkhā hai

vo na aa.e na sahī maut to aa.egī 'hafīz'
sabr kar sabr tirā kaam huā rakkhā hai

ishq ne aql ko diwana bana rakkha hai
zulf-e-anjam ki uljhan mein phansa rakkha hai

uTh ke baalin se mere dafn ki tadbir karo
nabz kya dekhte ho nabz mein kya rakkha hai

meri qismat ke nawishte ko miTa de koi
mujh ko qismat ke nawishte ne miTa rakkha hai

aap betab-e-numaish na karen jalwon ko
hum ne didar qayamat pe uTha rakkha hai

wo na aae na sahi maut to aaegi 'hafiz'
sabr kar sabr tera kaam hua rakkha hai


Source: Husn-e-sukhan

Leave a comment

+