Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Nadeem Faisal

  • Ghazal


sarab-o-dasht wahi sarban tisra hai


sarāb-o-dasht vahī sārbān tīsrā hai
safar ke saath bañdhā imtihān tīsrā hai

huzūr fahm-o-farāsat se kaam lījiyegā
saḌak ke maġhribī jānib makān tīsrā hai

ye do jahān se aage kī ek manzil hai
atā-e-ishq-e-mohammad jahān tīsrā hai

azal abad ke nishāñ zindagī ke haamī haiñ
tabāhiyoñ kī ibārat nishān tīsrā hai

ham is se pahle bhī guzre haiñ imtihānoñ se
paḌāv pahlā sahī imtihān tīsrā hai

ye donoñ kaan to dīvār kī amānat haiñ
jo intihā-e-yaqīñ hai vo kaan tīsrā hai

maiñ dhuup oḌh ke niklā to ye khulā 'faisal'
yaqīn dūsrā mausam gumān tīsrā hai

sarab-o-dasht wahi sarban tisra hai
safar ke sath bandha imtihan tisra hai

huzur fahm-o-farasat se kaam lijiyega
saDak ke maghribi jaanib makan tisra hai

ye do jahan se aage ki ek manzil hai
ata-e-ishq-e-mohammad jahan tisra hai

azal abad ke nishan zindagi ke hami hain
tabahiyon ki ibarat nishan tisra hai

hum is se pahle bhi guzre hain imtihanon se
paDaw pahla sahi imtihan tisra hai

ye donon kan to diwar ki amanat hain
jo intiha-e-yaqin hai wo kan tisra hai

main dhup oDh ke nikla to ye khula 'faisal'
yaqin dusra mausam guman tisra hai


Source: Book : Andaaz (Pg. 105) Author : Mahesh Chandr Naqsh Publication : Sangam Kitab Ghar,  Delhi (1962) Edition : 1962

Leave a comment

+