Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahir Al-Hameedi

  • Ghazal


qadam qadam pe ajab hadsat-e-gham guzre


qadam qadam pe ajab hādsāt-e-ġham guzre
jahāñ jahāñ se tirī justujū meñ ham guzre

ġham-e-hayāt ko le kar jidhar se ham guzre
hujūm-e-hādisa-e-nau-ba-nau baham guzre

na raas aa.e mirī zindagī mujhe ai dost
kabhī garāñ jo mire dil pe terā ġham guzre

qadam qadam pe huā imtihān-e-hosh-o-ḳhirad
ḳhudā kā shukr ki dāman bachā ke ham guzre

nazar meñ raqs-kunāñ hai tasavvur-e-ruḳh-e-dost
ye kah do bād-e-sabā se dabe qadam guzre

jabīñ jhuke to simaT aa.e āstān-e-habīb
vo sajda kyā jo ba-qaid-e-dar-e-haram guzre

milī jahāñ se matā-e-ḳhushī zamāne ko
ham us maqām se 'māhir' ba-chashm-e-nam guzre

qadam qadam pe ajab hadsat-e-gham guzre
jahan jahan se teri justuju mein hum guzre

gham-e-hayat ko le kar jidhar se hum guzre
hujum-e-hadisa-e-nau-ba-nau baham guzre

na ras aae meri zindagi mujhe ai dost
kabhi garan jo mere dil pe tera gham guzre

qadam qadam pe hua imtihan-e-hosh-o-KHirad
KHuda ka shukr ki daman bacha ke hum guzre

nazar mein raqs-kunan hai tasawwur-e-ruKH-e-dost
ye kah do baad-e-saba se dabe qadam guzre

jabin jhuke to simaT aae aastan-e-habib
wo sajda kya jo ba-qaid-e-dar-e-haram guzre

mili jahan se mata-e-KHushi zamane ko
hum us maqam se 'mahir' ba-chashm-e-nam guzre


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+