Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


raat-bhar jo samne aankhon ke wo mah-para tha


rāt-bhar jo sāmne āñkhoñ ke vo mah-pāra thā
ġhairat-e-mahtāb apnā dāman-e-nazzāra thā

ban ga.e girdāb sail-e-ashk jaa.e gard-bād
abr-e-tar kī tarah maiñ jis dasht meñ āvāra thā

tū ne āñkheñ pher liiñ yaañ kaam āḳhir ho gayā
tā.ir-e-jāñ pā-e-band-e-rishta-e-nazzāra thā

shab tire partav se labrez-e-latāfat thā chaman
har gul-e-shabbū se jaarī nuur kā favvāra thā

mujh ko dam lene kī bhī fursat na duniyā meñ milī
roz-e-maulid shādiyāna kuuch kā naqqārā thā

ḳhurramī hotī hai bedardoñ ko sair-e-bāġh meñ
ham ne jis gul par nazar kī ik gul-e-sad-pāra thā

ḳhvāb meñ bhī yaar tak mumkin na thā daḳhl-e-raqīb
jin dinoñ apnā ḳhayāl aḳhbār kā harkāra thā

shab nazar kī maiñ ne furqat meñ jo sū-e-asmāñ
azhdahā thī kahkashāñ aqrab har ik sayyāra thā

ai ajal dī tū ne bār-e-jism se aa kar najāt
kab se merī piiTh par ye ḳhaak kā pushtāra thā

ḳhauf sab jaatā rahā dil se azāb-e-hijr kā
naqd-e-jāñ denā gunāh-e-ishq kā kaffāra thā

kahte haiñ maarā gayā vo jurm-e-teġh-e-nāz se
kūcha-e-qātil meñ 'nāsiḳh' naam jo bechāra gayā

raat-bhar jo samne aankhon ke wo mah-para tha
ghairat-e-mahtab apna daman-e-nazzara tha

ban gae girdab sail-e-ashk jae gard-baad
abr-e-tar ki tarah main jis dasht mein aawara tha

tu ne aankhen pher lin yan kaam aaKHir ho gaya
tair-e-jaan pa-e-band-e-rishta-e-nazzara tha

shab tere partaw se labrez-e-latafat tha chaman
har gul-e-shabbu se jari nur ka fawwara tha

mujh ko dam lene ki bhi fursat na duniya mein mili
roz-e-maulid shadiyana kuch ka naqqara tha

KHurrami hoti hai bedardon ko sair-e-bagh mein
hum ne jis gul par nazar ki ek gul-e-sad-para tha

KHwab mein bhi yar tak mumkin na tha daKHl-e-raqib
jin dinon apna KHayal aKHbar ka harkara tha

shab nazar ki main ne furqat mein jo su-e-asman
azhdaha thi kahkashan aqrab har ek sayyara tha

ai ajal di tu ne bar-e-jism se aa kar najat
kab se meri piTh par ye KHak ka pushtara tha

KHauf sab jata raha dil se azab-e-hijr ka
naqd-e-jaan dena gunah-e-ishq ka kaffara tha

kahte hain mara gaya wo jurm-e-tegh-e-naz se
kucha-e-qatil mein 'nasiKH' nam jo bechaara gaya


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+