sochnā hai to phir kharī soche
dil koī baat na burī soche
bhiik de kar na jaane kyā leñge
ik bhikāran Darī Darī soche
kyuuñ gañvāyā thā rāste meñ use
aa ke manzil pe rahbarī soche
Thaharnā hogā kyā usī ghar meñ
aañkh meñ niiñd kī parī soche
maiñ vafā ke sivā na sochūñ kuchh
vo jo soche sitamgarī soche
sochna hai to phir khari soche
dil koi baat na buri soche
bhik de kar na jaane kya lenge
ek bhikaran Dari Dari soche
kyun ganwaya tha raste mein use
aa ke manzil pe rahbari soche
Thaharna hoga kya usi ghar mein
aankh mein nind ki pari soche
main wafa ke siwa na sochun kuchh
wo jo soche sitamgari soche
Leave a comment