Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badiuzzaman Khawar

  • Ghazal


aag hi kash lag gai hoti


aag hī kaash lag ga.ī hotī
do ghaḌī ko to raushnī hotī

log milte na jo naqāboñ meñ
koī sūrat na ajnabī hotī

pūchhte jis se apnā naam aisī
shahr meñ ek to galī hotī

baat koī kahāñ ḳhushī kī thī
dil ko kis baat kī ḳhushī hotī

maut jab tere iḳhtiyār meñ hai
mere qaabū meñ zindagī hotī

mahak uThtā nagar nagar 'ḳhāvar'
dil kī ḳhushbū agar uḌī hotī

aag hi kash lag gai hoti
do ghaDi ko to raushni hoti

log milte na jo naqabon mein
koi surat na ajnabi hoti

puchhte jis se apna nam aisi
shahr mein ek to gali hoti

baat koi kahan KHushi ki thi
dil ko kis baat ki KHushi hoti

maut jab tere iKHtiyar mein hai
mere qabu mein zindagi hoti

mahak uThta nagar nagar 'KHawar'
dil ki KHushbu agar uDi hoti


Source: Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 34) Author : Aitabar Sajid Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009) Edition : 2007,2009

Leave a comment

+