Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahir Abdul Hayee

  • Ghazal


roz-e-awwal hi se tafriq ye auqat mein hai


roz-e-avval hī se tafrīq ye auqāt meñ hai
koī hai din ke ujāle meñ koī raat meñ hai

maiñ bhī majmua-e-azdād huuñ duniyā kī tarah
kahīñ sahrā kahīñ gulzār mirī zaat meñ hai

hai mire gird mirī maañ kī duāoñ kā hisār
ġham nahīñ hai koī dushman jo mirī ghaat meñ hai

maiñ tahī-dast huuñ lekin ye pata hai mujh ko
vo mire naam hai jo chiiz tire haat meñ hai

dāman-e-shab meñ chamakte haiñ sitāroñ kī tarah
aks kis kā ye mirī ḳhaak ke zaat meñ hai

tīrgī ḳhauf kī pahlū meñ basī hai lekin
kuchh umīdoñ kī chamak dil ke mazāfāt meñ hai

mil hī jā.egī kahīñ paañv Tikāne kī jagah
ab sitāroñ kā jahāñ merī futūhāt meñ hai

mirī pastī pe bahut tanz na kar chashm-e-falak
us ko bhī dekh bulandī jo ḳhayālāt meñ hai

ek hī rañg meñ rahtī hai tabī.at har dam
farq jaaḌe meñ na garmī meñ na barsāt meñ hai

dil laraztā hai pas-e-parda na ho zahr koī
kuchh ziyāda hī miThās ab ke tirī baat meñ hai

dekhnā vo bhī kahīñ chhūT na jaa.e 'māhir'
jo chamaktā huā ik rañg rivāyāt meñ hai

roz-e-awwal hi se tafriq ye auqat mein hai
koi hai din ke ujale mein koi raat mein hai

main bhi majmua-e-azdad hun duniya ki tarah
kahin sahra kahin gulzar meri zat mein hai

hai mere gird meri man ki duaon ka hisar
gham nahin hai koi dushman jo meri ghat mein hai

main tahi-dast hun lekin ye pata hai mujh ko
wo mere nam hai jo chiz tere hat mein hai

daman-e-shab mein chamakte hain sitaron ki tarah
aks kis ka ye meri KHak ke zat mein hai

tirgi KHauf ki pahlu mein basi hai lekin
kuchh umidon ki chamak dil ke mazafat mein hai

mil hi jaegi kahin panw Tikane ki jagah
ab sitaron ka jahan meri futuhat mein hai

meri pasti pe bahut tanz na kar chashm-e-falak
us ko bhi dekh bulandi jo KHayalat mein hai

ek hi rang mein rahti hai tabiat har dam
farq jaDe mein na garmi mein na barsat mein hai

dil larazta hai pas-e-parda na ho zahr koi
kuchh ziyaada hi miThas ab ke teri baat mein hai

dekhna wo bhi kahin chhuT na jae 'mahir'
jo chamakta hua ek rang riwayat mein hai


Source: Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 107) Author : Mahir Abdul Hayee Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008) Edition : 2008

Leave a comment

+