Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bal Mukund Besabr

  • Ghazal


intiha zoaf ki hai saf numayan mujhse


intihā zo.af kī hai saaf numāyāñ mujh se
ramaq-e-jāñ meñ mirā jism hai pinhāñ mujh se

shor hai vo na vahāñ aur na yahāñ vo sunsān
shahr vīrān hai ābād bayābāñ mujh se

bas-ki mushkil ko samajh rakkhā hai maiñ ne āsān
mushkileñ karte haiñ hal apne ḳhud āsāñ mujh se

dāman-e-dasht hai aur phir mirā pā-e-vahshat
phir huā josh-e-junūñ dast-o-garebāñ mujh se

shab-e-tanhā.ī meñ 'besabr' ba-qaul-e-'ġhālib'
saaya ḳhurshed qayāmat meñ hai pinhāñ mujh se

intiha zoaf ki hai saf numayan mujh se
ramaq-e-jaan mein mera jism hai pinhan mujh se

shor hai wo na wahan aur na yahan wo sunsan
shahr viran hai aabaad bayaban mujh se

bas-ki mushkil ko samajh rakkha hai main ne aasan
mushkilen karte hain hal apne KHud aasan mujh se

daman-e-dasht hai aur phir mera pa-e-wahshat
phir hua josh-e-junun dast-o-gareban mujh se

shab-e-tanhai mein 'besabr' ba-qaul-e-'ghaalib'
saya KHurshed qayamat mein hai pinhan mujh se


Leave a comment

+