Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah wali

  • Ghazal


waqt-e-ruKHsat shabnami saughat ki baaten karo


vaqt-e-ruḳhsat shabnamī sauġhāt kī bāteñ karo
zikr ashkoñ kā karo barsāt kī bāteñ karo

apnī miTTī kā bhī tum par haq hai samjho to sahī
chāñd sūraj kī nahīñ zarrāt kī bāteñ karo

ḳhūn-e-insāñ se huī hai sub.h jis kī dāġh-dār
chand hī lamhe sahī us raat kī bāteñ karo

kab talak uljhī rahegī zulf-e-jānāñ meñ ġhazal
dosto kuchh aaj ke hālāt kī bāteñ karo

mausam-e-gul meñ agar karnī hoñ kuchh bāteñ 'valī'
phuul kī ḳhushbū kī aur naġhmāt kī bāteñ karo

waqt-e-ruKHsat shabnami saughat ki baaten karo
zikr ashkon ka karo barsat ki baaten karo

apni miTTi ka bhi tum par haq hai samjho to sahi
chand suraj ki nahin zarraat ki baaten karo

KHun-e-insan se hui hai subh jis ki dagh-dar
chand hi lamhe sahi us raat ki baaten karo

kab talak uljhi rahegi zulf-e-jaanan mein ghazal
dosto kuchh aaj ke haalat ki baaten karo

mausam-e-gul mein agar karni hon kuchh baaten 'wali'
phul ki KHushbu ki aur naghmat ki baaten karo


Source: Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 143) Author : Ibn Insha Publication : Akif Book Depo Daryaganj New Delhi

Leave a comment

+