na sochnā ki zamāne se Dar ga.e ham bhī
tirī talāsh meñ ġhairoñ ke ghar ga.e ham bhī
churā liiñ ham se bhī us ḳhud-parast ne āñkheñ
dil-e-habīb se āḳhir agar ga.e ham bhī
pasījā dil na kisī kā hamāre ashkoñ se
har āstāñ pe liye chashm-e-tar ga.e ham bhī
jo dekhā kaliyoñ ko tujh par nisār hote hue
to rañg ban ke fazā meñ bikhar ga.e ham bhī
jab us kī zauq-e-nazar kā huā bahut charchā
vufūr-e-shauq se ek din sañvar ga.e ham bhī
bahut se ishq kī rāhoñ meñ pul-sirāt aa.e
tumhārā naam liyā aur guzar ga.e ham bhī
muhāl thā ki ham ai 'josh' zinda rah sakte
firāq-e-yār meñ ik roz mar ga.e ham bhī
na sochna ki zamane se Dar gae hum bhi
teri talash mein ghairon ke ghar gae hum bhi
chura lin hum se bhi us KHud-parast ne aankhen
dil-e-habib se aaKHir agar gae hum bhi
pasija dil na kisi ka hamare ashkon se
har aastan pe liye chashm-e-tar gae hum bhi
jo dekha kaliyon ko tujh par nisar hote hue
to rang ban ke faza mein bikhar gae hum bhi
jab us ki zauq-e-nazar ka hua bahut charcha
wufur-e-shauq se ek din sanwar gae hum bhi
bahut se ishq ki rahon mein pul-siraat aae
tumhaara nam liya aur guzar gae hum bhi
muhaal tha ki hum ai 'josh' zinda rah sakte
firaq-e-yar mein ek roz mar gae hum bhi
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment