chup rahūñ kaise maiñ barbād-e-jahāñ hone tak
raaz ko raaz hī rakhnā hai baiyyāñ hone tak
kyā ḳhabar thī tirī mahfil meñ ye hālat hogī
tū uThā degā mujhe dard ayaañ hone tak
ḳhush-nasībī ye mirī hai ki vo ghar aa.e haiñ
sham.a tū saath nibhā vaqt-e-azāñ hone tak
koī ḳhāmosh sadā duur bulātī hai mujhe
kaash maiñ zinda rahūñ dard bayāñ hone tak
ek sho.ala hai mohabbat use shabnam na kaho
zinda rahtī hai ye bad-baḳht dhuāñ hone tak
tum bhī 'ġhāzī' kabhī fursat meñ ye socho to sahī
kyuuñ taḌapte ho har ik shab ke javāñ hone tak
chup rahun kaise main barbaad-e-jahan hone tak
raaz ko raaz hi rakhna hai baiyyan hone tak
kya KHabar thi teri mahfil mein ye haalat hogi
tu uTha dega mujhe dard ayan hone tak
KHush-nasibi ye meri hai ki wo ghar aae hain
shama tu sath nibha waqt-e-azan hone tak
koi KHamosh sada dur bulati hai mujhe
kash main zinda rahun dard bayan hone tak
ek shoala hai mohabbat use shabnam na kaho
zinda rahti hai ye bad-baKHt dhuan hone tak
tum bhi 'ghazi' kabhi fursat mein ye socho to sahi
kyun taDapte ho har ek shab ke jawan hone tak
Leave a comment