ḳhamosh nazroñ se husn-e-butāñ kī baat kareñ
na lab pe aa.ī jo us dāstāñ kī baat kareñ
rah-e-junūñ meñ bhaTakte kahāñ kahāñ pahuñche
kahāñ kahāñ kī sunā.eñ kahāñ kī baat kareñ
jigar ke daaġh dikhāne se fā.eda kyā hai
abas hai mahz ke zor-e-zamāñ kī baat kareñ
na bhuul jaa.e zamāna vafā kī qadroñ ko
miTe jo ishq meñ un ke nishāñ kī baat kareñ
jabīn-e-shauq kā sajda yahāñ vahāñ kyoñ ho
jahāñ ho azmat-e-sar ham vahāñ kī baat kareñ
qadam qadam pe guzarte haiñ imtihāñ kitne
chalo ki aaj na.e imtihāñ kī baat kareñ
ye yād-e-lutf-e-bahārāñ bhī kam nahīñ hai 'habīb'
bharī ḳhizāñ meñ bhī kyā ham ḳhizāñ kī baat kareñ
KHamosh nazron se husn-e-butan ki baat karen
na lab pe aai jo us dastan ki baat karen
rah-e-junun mein bhaTakte kahan kahan pahunche
kahan kahan ki sunaen kahan ki baat karen
jigar ke dagh dikhane se faeda kya hai
abas hai mahz ke zor-e-zaman ki baat karen
na bhul jae zamana wafa ki qadron ko
miTe jo ishq mein un ke nishan ki baat karen
jabin-e-shauq ka sajda yahan wahan kyon ho
jahan ho azmat-e-sar hum wahan ki baat karen
qadam qadam pe guzarte hain imtihan kitne
chalo ki aaj nae imtihan ki baat karen
ye yaad-e-lutf-e-bahaaran bhi kam nahin hai 'habib'
bhari KHizan mein bhi kya hum KHizan ki baat karen
RECITATIONS
Jazim Sharma
00:00/00:00
khamosh nazron se
Jazim Sharma
Leave a comment