Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


hawa KHamosh patte so rahe hain


havā ḳhāmosh patte so rahe haiñ
abhī shāḳhoñ pe ġhunche so rahe haiñ

sar-e-dīvār sūraj tap rahā hai
pas-e-dīvār saa.e so rahe haiñ

dar-e-dil par abhī dastak na denā
añdherā hai ujāle so rahe haiñ

havā-e-tund tū bhī jā ke so jā
daraḳhtoñ par parinde so rahe haiñ

khulī haiñ shab ke darvāzoñ kī āñkheñ
magar ghar ke darīche so rahe haiñ

baḳhīl aisā nahīñ dekhā hai dariyā
ki ham sāhil pe pyāse so rahe haiñ

bahut zoroñ pe hai tūfān lekin
samundar meñ jazīre so rahe haiñ

ta.ajjub-ḳhez hai dariyā kā manzar
bhañvar chup haiñ kināre so rahe haiñ

maze haiñ lūTne vāloñ ke 'shāhid'
ki ahl-e-shahr saare so rahe haiñ

hawa KHamosh patte so rahe hain
abhi shaKHon pe ghunche so rahe hain

sar-e-diwar suraj tap raha hai
pas-e-diwar sae so rahe hain

dar-e-dil par abhi dastak na dena
andhera hai ujale so rahe hain

hawa-e-tund tu bhi ja ke so ja
daraKHton par parinde so rahe hain

khuli hain shab ke darwazon ki aankhen
magar ghar ke dariche so rahe hain

baKHil aisa nahin dekha hai dariya
ki hum sahil pe pyase so rahe hain

bahut zoron pe hai tufan lekin
samundar mein jazire so rahe hain

tajjub-KHez hai dariya ka manzar
bhanwar chup hain kinare so rahe hain

maze hain luTne walon ke 'shahid'
ki ahl-e-shahr sare so rahe hain


Leave a comment

+