Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Ali Balooch

  • Ghazal


zulf zanjir-e-pa hui jab se


zulf zanjīr-e-pā huī jab se
ham asīr-e-ma.āsh haiñ tab se

madrasoñ ne banā diyā naukar
umr saarī gañvā.ī is Dhab se

peT kī aag kyoñ nahīñ bujhtī
justujū kar rahe haiñ ham kab se

ham faqat maañg kar hī jiite haiñ
kaash ġhairat bhī maañg leñ rab se

is ko daulat ne kyā uThānā hai
gir gayā jo hayā ke markab se

ḳhatm-e-qur.āñ hai nekiyoñ ke liye
ham ko matlab nahīñ hai matlab se

shaiḳh-o-sūfī uThā ke chañg-o-rubāb
dekh laḌne chale haiñ marhab se

tīrgī meñ jalā ke diip na.e
dushmanī le rahe haiñ ham sab se

tum ujāloñ kī baat mat karnā
tīrgī shah ke saath hai ab se

chhoḌ 'naqqāsh' harf-e-sachchā.ī
log ḳhā.if haiñ tere maz.hab se

zulf zanjir-e-pa hui jab se
hum asir-e-maash hain tab se

madrason ne bana diya naukar
umr sari ganwai is Dhab se

peT ki aag kyon nahin bujhti
justuju kar rahe hain hum kab se

hum faqat mang kar hi jite hain
kash ghairat bhi mang len rab se

is ko daulat ne kya uThana hai
gir gaya jo haya ke markab se

KHatm-e-quran hai nekiyon ke liye
hum ko matlab nahin hai matlab se

shaiKH-o-sufi uTha ke chang-o-rubab
dekh laDne chale hain marhab se

tirgi mein jala ke dip nae
dushmani le rahe hain hum sab se

tum ujalon ki baat mat karna
tirgi shah ke sath hai ab se

chhoD 'naqqash' harf-e-sachchai
log KHaif hain tere mazhab se


Leave a comment

+