Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandra Parkash Shad

  • Ghazal


kabhi hawa ne kabhi uDte pattharon ne kiya


kabhī havā ne kabhī uḌte pattharoñ ne kiyā
hameñ to nashr ajab sī vazāhatoñ ne kiyā

tamām manzar-e-shab Dher ho gayā dil par
ye kyā sitam mire qadmoñ kī āhaToñ ne kiyā

har ek chiiz lagī TūTtī sī bāhar kī
ki jo kiyā mire andar ke manzaroñ ne kiyā

khulī na aañkh kabhī ek pal ko sahrā kī
agarche shor bahut uḌtī bastiyoñ ne kiyā

udhar to kuchh na thā yuuñ hī vo aate jaate rahe
ajab mazāq safar se musāfiroñ ne kiyā

maiñ apne aap se Darne lagā bhare ghar meñ
ye mujh se kiyā mire apne hī ā.inoñ ne kiyā

ka.ī tarah se ghaTāyā baḌhāyā sāyoñ ko
makāñ makāñ pe yahī kaam sūrajoñ ne kiyā

kabhi hawa ne kabhi uDte pattharon ne kiya
hamein to nashr ajab si wazahaton ne kiya

tamam manzar-e-shab Dher ho gaya dil par
ye kya sitam mere qadmon ki aahaTon ne kiya

har ek chiz lagi TuTti si bahar ki
ki jo kiya mere andar ke manzaron ne kiya

khuli na aankh kabhi ek pal ko sahra ki
agarche shor bahut uDti bastiyon ne kiya

udhar to kuchh na tha yun hi wo aate jate rahe
ajab mazaq safar se musafiron ne kiya

main apne aap se Darne laga bhare ghar mein
ye mujh se kiya mere apne hi aainon ne kiya

kai tarah se ghaTaya baDhaya sayon ko
makan makan pe yahi kaam surajon ne kiya


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+