Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Riaz

  • Ghazal


ye pairahan jo meri ruh ka utar na saka


ye pairahan jo mirī ruuh kā utar na sakā
to naḳh-ba-naḳh kahīñ paivast resha-e-dil thā

mujhe ma.āl-e-safar kā malāl kyūñ-kar ho
ki jab safar hī mirā fāsloñ kā dhokā thā

maiñ jab firāq kī rātoñ meñ us ke saath rahī
vo phir visāl ke lamhoñ meñ kyuuñ akelā thā

vo vāste kī tirā darmiyāñ bhī kyuuñ aa.e
ḳhudā ke saath mirā jism kyuuñ na ho tanhā

sarāb huuñ maiñ tirī pyaas kyā bujhā.ūñgī
is ishtiyāq se tishna zabāñ qarīb na lā

sarāb huuñ ki badan kī yahī shahādat hai
har ek uzv meñ bahtā hai ret kā dariyā

jo mere lab pe hai shāyad vahī sadāqat hai
jo mere dil meñ hai us harf-e-rā.egāñ pe na jā

jise maiñ toḌ chukī huuñ vo raushnī kā tilism
shuā-e-nūr-e-azal ke sivā kuchh aur na thā

ye pairahan jo meri ruh ka utar na saka
to naKH-ba-naKH kahin paiwast resha-e-dil tha

mujhe maal-e-safar ka malal kyun-kar ho
ki jab safar hi mera faslon ka dhoka tha

main jab firaq ki raaton mein us ke sath rahi
wo phir visal ke lamhon mein kyun akela tha

wo waste ki tera darmiyan bhi kyun aae
KHuda ke sath mera jism kyun na ho tanha

sarab hun main teri pyas kya bujhaungi
is ishtiyaq se tishna zaban qarib na la

sarab hun ki badan ki yahi shahadat hai
har ek uzw mein bahta hai ret ka dariya

jo mere lab pe hai shayad wahi sadaqat hai
jo mere dil mein hai us harf-e-raegan pe na ja

jise main toD chuki hun wo raushni ka tilism
shua-e-nur-e-azal ke siwa kuchh aur na tha


Source:

Leave a comment

+