phir uThī aaj vo nigāh-e-nāz
ik na.e daur kā huā āġhāz
har haqīqat hai ā.īna phir bhī
zarra zarra hai ik jahān-e-rāz
lab-e-shā.er pe giit raqsāñ haiñ
rūh-e-fitrat hai gosh-bar-āvāz
merī ḳhāmoshiyoñ ke aalam meñ
guuñj uThtī hai aap kī āvāz
koī aalam nahīñ qayām-pazīr
lamha lamha hai mā.il-e-parvāz
'naqsh' ham ahl-e-dil ne dekhe haiñ
manzil-e-ishq ke nasheb-o-farāz
phir uThi aaj wo nigah-e-naz
ek nae daur ka hua aaghaz
har haqiqat hai aaina phir bhi
zarra zarra hai ek jahan-e-raaz
lab-e-shaer pe git raqsan hain
ruh-e-fitrat hai gosh-bar-awaz
meri KHamoshiyon ke aalam mein
gunj uThti hai aap ki aawaz
koi aalam nahin qayam-pazir
lamha lamha hai mail-e-parwaz
'naqsh' hum ahl-e-dil ne dekhe hain
manzil-e-ishq ke nasheb-o-faraaz
Leave a comment