Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Kamal

  • Ghazal


ye shahr aafaton se to Khaali koi na tha


ye shahr āfatoñ se to ḳhālī koī na thā
jab ham saḳhī hue to savālī koī na thā

likkhā hai dāstāñ meñ ki gulshan ujaḌte vaqt
gulchīñ be-shumār the maalī koī na thā

us dasht meñ mirā hī hayūlā thā har taraf
maiñ ne hī sham-e-ishq jalā lī koī na thā

jalse ujaḌ ga.e the kisī ḳhud-fareb ke
ḳhud hī bajā rahā thā vo taalī koī na thā

'tābish' har ek dil meñ sharāre the qahr ke
ho paas jis ke soz-e-bilālī koī na thā

ye shahr aafaton se to KHali koi na tha
jab hum saKHi hue to sawali koi na tha

likkha hai dastan mein ki gulshan ujaDte waqt
gulchin be-shumar the mali koi na tha

us dasht mein mera hi hayula tha har taraf
main ne hi sham-e-ishq jala li koi na tha

jalse ujaD gae the kisi KHud-fareb ke
KHud hi baja raha tha wo tali koi na tha

'tabish' har ek dil mein sharare the qahr ke
ho pas jis ke soz-e-bilali koi na tha


Source: Kitab-e-tanhaii

Leave a comment

+