Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


kal mai-kade ki jaanib aahang-e-mohtasib hai


kal mai-kade kī jānib āhañg-e-mohtasib hai
darpesh mai-kashoñ ko phir jañg-e-mohtasib hai

hotā hai shīsha-e-dil chuur us kī guftugū se
yārab ye pand-e-nāseh yā sañg-e-mohtasib hai

muñh surḳh ho rahā hai bīm-e-muġhāñ se us kā
jo kuchh hai rañg-e-mīnā so rañg-e-mohtasib hai

az-bas girāñ hai us par miinā se mai kī qulqul
paḌhnā bhī chaar qul kā ab nañg-e-mohtasib hai

hargiz 'baqā' na rahiyo daur-e-falak se ġhāfil
mastoñ kī nit kamīñ meñ sar-chañg-e-mohtasib hai

kal mai-kade ki jaanib aahang-e-mohtasib hai
darpesh mai-kashon ko phir jang-e-mohtasib hai

hota hai shisha-e-dil chur us ki guftugu se
yarab ye pand-e-naseh ya sang-e-mohtasib hai

munh surKH ho raha hai bim-e-mughan se us ka
jo kuchh hai rang-e-mina so rang-e-mohtasib hai

az-bas giran hai us par mina se mai ki qulqul
paDhna bhi chaar qul ka ab nang-e-mohtasib hai

hargiz 'baqa' na rahiyo daur-e-falak se ghafil
maston ki nit kamin mein sar-chang-e-mohtasib hai


Leave a comment

+