Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahir Abdul Hayee

  • Ghazal


kho gae yun kar-KHane ya kisi daftar mein hum


kho ga.e yuuñ kār-ḳhāne yā kisī daftar meñ ham
chhuTTiyoñ meñ ajnabī lagte haiñ apne ghar meñ ham

fāsle se dekhne vaalā hameñ samjhegā kyā
pyaas kā sahrā haiñ dariyāoñ ke pas-manzar meñ ham

raat ko sone se pahle kyā kareñ us kā hisāb
kitne sāyoñ kā ta.āqub kar sake din-bhar meñ ham

bas hamīñ ham haiñ jahāñ tak kaam kartī hai nigāh
ek zarra haiñ magar phaile haiñ bahr-o-bar meñ ham

muḳhtalif ḳhākoñ meñ chhīñToñ kī tarah taqsīm haiñ
kyā ubhar kar sāmne aa.eñ kisī manzar meñ ham

dūsrī jānib añdherā hai to kis ummīd par
jāgtī āñkhoñ ko rakh aa.e shigāf-e-dar meñ ham

hai ye majbūrī ki aañch aatī hai chāroñ samt se
varna sochā thā jiyeñge mom ke paikar meñ ham

haath jis shai kī taraf lapke vo ġhā.eb ho ga.ī
phañs ga.e 'māhir' ye kis aaseb ke chakkar meñ ham

kho gae yun kar-KHane ya kisi daftar mein hum
chhuTTiyon mein ajnabi lagte hain apne ghar mein hum

fasle se dekhne wala hamein samjhega kya
pyas ka sahra hain dariyaon ke pas-manzar mein hum

raat ko sone se pahle kya karen us ka hisab
kitne sayon ka taaqub kar sake din-bhar mein hum

bas hamin hum hain jahan tak kaam karti hai nigah
ek zarra hain magar phaile hain bahr-o-bar mein hum

muKHtalif KHakon mein chhinTon ki tarah taqsim hain
kya ubhar kar samne aaen kisi manzar mein hum

dusri jaanib andhera hai to kis ummid par
jagti aankhon ko rakh aae shigaf-e-dar mein hum

hai ye majburi ki aanch aati hai chaaron samt se
warna socha tha jiyenge mom ke paikar mein hum

hath jis shai ki taraf lapke wo ghaeb ho gai
phans gae 'mahir' ye kis aaseb ke chakkar mein hum


Source: Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 119) Author : Mahir Abdul Hayee Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008) Edition : 2008

Leave a comment

+