Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


is waste logon ko sunai nahin dete


is vāste logoñ ko sunā.ī nahīñ dete
ham aah to bharte haiñ duhā.ī nahīñ dete

kuchh dard haiñ aise ki jo chehre se ayaañ haiñ
kuchh zaḳhm haiñ aise jo dikhā.ī nahīñ dete

vo rāste jachte hī nahīñ ahal-e-dilāñ ko
vo rāste jo ābla-pā.ī nahīñ dete

yādoñ kī hai ik bazm sajī ḳhāna-e-dil meñ
is bazm meñ ġhairoñ ko rasā.ī nahīñ dete

ham log ta.alluq meñ bahut saaf haiñ lekin
ham log ta.alluq kī safā.ī nahīñ dete

is waste logon ko sunai nahin dete
hum aah to bharte hain duhai nahin dete

kuchh dard hain aise ki jo chehre se ayan hain
kuchh zaKHm hain aise jo dikhai nahin dete

wo raste jachte hi nahin ahal-e-dilan ko
wo raste jo aabla-pai nahin dete

yaadon ki hai ek bazm saji KHana-e-dil mein
is bazm mein ghairon ko rasai nahin dete

hum log talluq mein bahut saf hain lekin
hum log talluq ki safai nahin dete


Leave a comment

+