Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka


ye jahāñ-navard kī dāstāñ ye fasāna Dolte saa.e kā
mire sar-burīda ḳhayāl haiñ ki dhuāñ hai suunī sarā.e kā

vo havā kā chupke se jhāñknā kisī bhūle bisre madār se
kahīñ ghar meñ shahr kī zulmateñ kahīñ chhat pe chāñd kirā.e kā

gil-e-māh ghūmte chaak par kaf-e-kūza-gar se phisal ga.ī
ki bisāt-e-gardish-e-sāl-o-sin yahī farq apne parā.e kā

mirā nutq bhī hai nigāh bhī mirī shā.irī kā gavāh bhī
tirī dostī ke mahāz par vo laraztā aks kinā.e kā

ki usī ke naam tak aa.e the ye sadā-o-sidq ke silsile
vahī shaḳhs jis ne tire liye kiyā qatl sochtī raa.e kā

ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka
mere sar-burida KHayal hain ki dhuan hai suni sarae ka

wo hawa ka chupke se jhankna kisi bhule bisre madar se
kahin ghar mein shahr ki zulmaten kahin chhat pe chand kirae ka

gil-e-mah ghumte chaak par kaf-e-kuza-gar se phisal gai
ki bisat-e-gardish-e-sal-o-sin yahi farq apne parae ka

mera nutq bhi hai nigah bhi meri shairi ka gawah bhi
teri dosti ke mahaz par wo larazta aks kinae ka

ki usi ke nam tak aae the ye sada-o-sidq ke silsile
wahi shaKHs jis ne tere liye kiya qatl sochti rae ka

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka Nomaan Shauque

Source: Book : Meri Gazal (Pg. 33) Author : karar Noori Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+