Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Moosavi

  • Ghazal


hai nigahban ruKH ka Khaal-ru-e-dost


hai nigahbāñ ruḳh kā ḳhāl-rū-e-dost
hāfiz-e-qur.āñ huā hindū-e-dost

ham na hoñ patthar ho ham pahlū-e-dost
ā.īna luuTe bahār-e-rū-e-dost

phir ga.ī jab nargis-e-jādū-e-dost
sab musalmāñ ho ga.e hindū-e-dost

bhā ga.ī hai dil ko aisī ḳhū-e-dost
aatī hai har gul se mujh ko bū-e-dost

hai ḳhayāl-e-āriz-o-gesū-e-dost
gah musalmān huuñ kabhī hindū-e-dost

sau balā.eñ aa ga.iiñ ushshāq par
jab kamar tak aa ga.e gesū-e-dost

haDDiyāñ merī na khānā ai humā
daañt rakhte haiñ sagān-e-kū-e-dost

aag bhaḌke kyuuñ na pahlū meñ mire
ġhair haiñ vaañ aaj ham pahlū-e-dost

asl ye hai naql-e-mehrāb-e-haram
sajda vājib hai tah-e-abrū-e-dost

teġh-e-abrū par kaTe lākhoñ gale
ban gayā ganj-e-shahīdāñ kū-e-dost

dil huā maftūñ nigāh-e-yār kā
sher-afgan haiñ magar āhū-e-dost

ba.ad-e-murdan qabr meñ āThoñ pahar
aa.egā mujh ko ḳhayāl-e-rū-e-dost

phir rahā hai aaj putlī kī tarah
merī āñkhoñ meñ qad-e-dil-jū-e-dost

hai ḳhayāl-e-ḳhāl-e-mushkīñ raat din
dil ko mere jaan lo mushkū-e-dost

ab vahī sar hai ki Takrātā huuñ maiñ
vasl meñ ye thā sar-e-zānū-e-dost

kyā koī aafat abhī baaqī hai aur
le chalā hai dil mujhe phir sū-e-dost

le uḌī be-sāḳhta dil ko mire
aa ga.ī jis dam havā-e-kū-e-dost

rañg-e-ulfat se miTā zañg-e-duī
ho ga.ī hai mujh meñ paidā bū-e-dost

ġhairat-e-mansūr huuñ maiñ ai 'habīb'
har ghaḌī huuñ sarf-e-hā-o-hū-e-dost

hai nigahban ruKH ka KHal-ru-e-dost
hafiz-e-quran hua hindu-e-dost

hum na hon patthar ho hum pahlu-e-dost
aaina luTe bahaar-e-ru-e-dost

phir gai jab nargis-e-jadu-e-dost
sab musalman ho gae hindu-e-dost

bha gai hai dil ko aisi KHu-e-dost
aati hai har gul se mujh ko bu-e-dost

hai KHayal-e-ariz-o-gesu-e-dost
gah musalman hun kabhi hindu-e-dost

sau balaen aa gain ushshaq par
jab kamar tak aa gae gesu-e-dost

haDDiyan meri na khana ai huma
dant rakhte hain sagan-e-ku-e-dost

aag bhaDke kyun na pahlu mein mere
ghair hain wan aaj hum pahlu-e-dost

asl ye hai naql-e-mehrab-e-haram
sajda wajib hai tah-e-abru-e-dost

tegh-e-abru par kaTe lakhon gale
ban gaya ganj-e-shahidan ku-e-dost

dil hua maftun nigah-e-yar ka
sher-afgan hain magar aahu-e-dost

baad-e-murdan qabr mein aaThon pahar
aaega mujh ko KHayal-e-ru-e-dost

phir raha hai aaj putli ki tarah
meri aankhon mein qad-e-dil-ju-e-dost

hai KHayal-e-KHal-e-mushkin raat din
dil ko mere jaan lo mushku-e-dost

ab wahi sar hai ki Takraata hun main
wasl mein ye tha sar-e-zanu-e-dost

kya koi aafat abhi baqi hai aur
le chala hai dil mujhe phir su-e-dost

le uDi be-saKHta dil ko mere
aa gai jis dam hawa-e-ku-e-dost

rang-e-ulfat se miTa zang-e-dui
ho gai hai mujh mein paida bu-e-dost

ghairat-e-mansur hun main ai 'habib'
har ghaDi hun sarf-e-ha-o-hu-e-dost


Leave a comment

+