dekh lāzim hai ġham zindagī ke liye
so guzāre shab-e-ġham ḳhushī ke liye
shahr-e-jānāñ se ab kuuch kar jā.iye
vo nahīñ pārsā bandagī ke liye
yuuñ to saare hī manzar mile haiñ magar
DhūñDhtā phir rahā dilkashī ke liye
pyaar se pyaar kā ye safar dekhiye
sochiye kuchh nayā dil-lagī ke liye
aap hī aap vo muskurā.e bahut
yaad aa hī gayā naġhmagī ke liye
chāhtā hī nahīñ ab vo 'ahsan' tujhe
dekh nainan koī mai-kashī ke liye
dekh lazim hai gham zindagi ke liye
so guzare shab-e-gham KHushi ke liye
shahr-e-jaanan se ab kuch kar jaiye
wo nahin parsa bandagi ke liye
yun to sare hi manzar mile hain magar
DhunDhta phir raha dilkashi ke liye
pyar se pyar ka ye safar dekhiye
sochiye kuchh naya dil-lagi ke liye
aap hi aap wo muskurae bahut
yaad aa hi gaya naghmagi ke liye
chahta hi nahin ab wo 'ahsan' tujhe
dekh nainan koi mai-kashi ke liye
Source: Lamhaat
Leave a comment