bahut kuchh mehnatoñ se ik zarā izzat kamā.ī hai
añdhere jhoñpaḌe meñ raushnī jugnū se aa.ī hai
tasadduq zindagī fāqoñ pe us ke ahd-e-hāzir meñ
ki jis ne jaan de kar aabrū apnī bachā.ī hai
hameñ inkār hai bātil-parastoñ kī qayādat se
hamārī zindagī kī har tamannā kar bulā.ī hai
ḳhud apne shahr meñ apnā shanāsā.ī nahīñ koī
na jaane justujū apnī ye kis manzil pe laa.ī hai
ajab dastūr hai 'sāhil' ki is ahd-e-taraqqī meñ
bhalā.ī meñ burā.ī aur burā.ī meñ bhalā.ī hai
bahut kuchh mehnaton se ek zara izzat kamai hai
andhere jhonpaDe mein raushni jugnu se aai hai
tasadduq zindagi faqon pe us ke ahd-e-hazir mein
ki jis ne jaan de kar aabru apni bachai hai
hamein inkar hai baatil-paraston ki qayaadat se
hamari zindagi ki har tamanna kar bulai hai
KHud apne shahr mein apna shanasai nahin koi
na jaane justuju apni ye kis manzil pe lai hai
ajab dastur hai 'sahil' ki is ahd-e-taraqqi mein
bhalai mein burai aur burai mein bhalai hai
Source: Book : Range-e-Gazal (Pg. 301)
Leave a comment